Bachchon! Hazrat Nuh ka tazkira Quran Majeed mein 43 jagah aaya hai. Hazrat Adam ki aulad duniya mein khoob badhi. Aahista-aahista yeh Khuda ko bhoolte gaye jisne unhe paida kiya tha, aur jo unka paalne wala hai.

Wah Shaitan ke behkawe mein aane lage, jisne Hazrat Adam Alaihissalam ko Jannat se nikalwa diya tha.

Shaitan ka Behkaawa aur But-Parasti

Shaitan ke behkawe mein aakar yeh log buton (idols), aag aur suraj wagairah ko poojne lage. Aur Ek Khuda ke bajaye mitti aur patthar ke bahut se khuda bana liye. Apne haath se apna khuda banate aur phir unse maangte.

Halanki yeh mitti aur patthar ke khuda apne liye bhi kuch na kar sakte the, unke liye kya karte? Allah Ta’ala ne, jo apne bandon se badi mohabbat rakhta hai, usko yeh kabhi gawara nahin ki uske bande Shaitan ke behkawe mein aakar Allah ke alawa kisi aur ki ibadat karne lagein aur uski saza mein marne ke baad Dozakh mein jalein.

Hazrat Nuh (A.S) ki Aamad aur Tableegh

Allah Paak ne Hazrat Nuh Alaihissalam ko apna Nabi bana kar bheja. Us zamana mein logon ki umrein (age) bahut badi-badi hoti thin. Hazrat Nooh Alaihissalam sade nau sau (950) saal tak apni qaum mein waaz (bayan) karte rahe ki:

Hazrat Nuh (A.S) ne kaha: "Ae logo! Sirf ek Allah ki ibadat karo, aur mera kaha maano, wah tumhare gunah baksh dega."

Lekin logon ne Hazrat Nuh Alaihissalam ki baaton ko na mana aur apne kaano mein ungliyan de lin, aur kapde odh liye taki Hazrat Nuh Alaihissalam ki aawaz kaanon tak na pahunche.
Magar Hazrat Nuh Alaihissalam ne himmat na haari, wah barabar samjhate rahe.

Allah ki Naimatein aur Maafi ki Ahmiyat

Hazrat Nuh Alaihissalam apni qaum ko samjhate rahe aur kehte rahe:

Hazrat Nuh (A.S) ki Nasihat: "Ae logo! Allah se mu'afi maango, Wah bada mu'aaf karne wala hai. Wah tum par aasman se baarish barsayega taaki tum khoob anaaj paida kar sako, aur uske zariye se bade-bade baagh paida kar dega, inmein nehrein paida kar dega, tumhein maal va daulat dega aur bete dega."

Unhone logon ko samjhaya ki:
"Tumhein kya ho gaya hai ki tum Khuda ko nahin maante? Haalanki Usne aasman banaye, chand aur suraj banaye. Usne tum ko mitti se paida kiya aur fir usi mitti mein ek din tum mil jaoge, aur fir Qayamat ke din usi mitti se tumko dobara zinda karega."

Lekin logon ne apne buton (idols) ko nahin chhoda, aur Hazrat Nuh Alaihissalam se kehne lage ki:
"Hum apne buton ko hargiz na chhodenge, aur hum to tum ko apne jaisa aam aadmi dekhte hain. Aur tumhara kehna bhi sirf chand gareeb logon ne mana hai, aur hum to tum ko jhoota samajhte hain."

Hazrat Nuh Alaihissalam ne kaha ki:
"Ae meri qaum! Main tumko jo nasihat karta hoon uske badle mein tum se koi maal va daulat nahin chahta. Aur jo gareeb aadmi Musalman hue hain, aur Allah par Imaan laye hain, unko main apne paas se tumhare kehne se nikalunga nahin. Agar main unko apne paas se nikal doon to Khuda ke azaab se mujhe kaun bachayega? Agar main aisa karunga to bahut nainsaaf ho jaunga."

Kishti (Ark) Ka Banana

Unki qaum ke logon ne kaha: "Ae Nuh! Tum ne hum se jhagda bahut kar liya, agar tum sacche ho to jis azaab se tum hum ko darate ho wah le aao."
Hazrat Nuh Alaihissalam ne kaha ki: "Jab Allah Paak chahenge azaab le aayenge."

Allah Ta’ala ne Hazrat Nuh Alaihissalam ko Wahi (Revelation) ke zariye se hukm bheja ki:

Allah ka Hukm: "Tumhari qaum mein jo log Imaan la chuke hain, unke alawa aur koi Imaan na layega. Tum gham na karo, ek kishti (boat) banao."

Hazrat Nuh Alaihissalam ne Khuda ke hukm ke mutabiq kishti banani shuru ki. To jab unki qaum ke sardar unke paas se guzarte, to unko kishti banate hue dekhte to unka mazaak udate. Hazrat Nuh Alaihissalam unke mazaak ke jawab mein kehte ki:
"Aaj mazaak kar lo, kal jab tumhare upar azaab aayega to us waqt hum tumhara mazaak udayenge."

Toofan aur Azaab

Aakhir Allah Ta’ala ka azaab uske waada ke mutabiq aaya. Zameen se paani nikalna shuru hua, aur aasman se baarish aani shuru hui. Allah Ta’ala ne Hazrat Nuh Alaihissalam ko hukm diya ki:
"Sab janwaron ka ek-ek joda (pair) kishti mein sawar kar lo, aur jo log tumhare upar Imaan laye hain (yaani Musalman ho gaye hain), unko sawar kar lo."

Hazrat Nuh Alaihissalam ne us kishti mein sawar hone walon se kaha ki:
"Allah Ta’ala ka naam lekar is kishti mein sawar ho jao, ki iska chalna aur theharna usi ke haath mein hai, Allah Ta’ala bada bakhshne wala meharban hai."

Kishti un sab ko lekar lehron mein chalne lagi. To us waqt Hazrat Nuh Alaihissalam ne apne bete se kaha:

Hazrat Nuh (A.S) ki Pukaar: "Ae Beta! Hamare saath sawar ho jao, aur kafiron ke saath mat ho."

Uske (bete ne) kaha: "Main kisi pahad par chadh jaunga, aur wo pahad pani se bacha lega."
Hazrat Nuh Alaihissalam ne kaha ki: "Aaj Khuda ke azaab se sivay Khuda ke koi bachane wala nahin."
Itne mein dono ke darmiyan ek paani ki lehar uthi aur wah doob gaya.

Duniya ka Dobara Aabad Hona

Fir Khuda Ta’ala ne zameen ko hukm diya ki apna paani nigal ja, aur aasman ko bhi hukm diya ki paani barsana band kar de. Yahan tak ki paani khushk (dry) ho gaya aur tamam kafir duniya mein khatm kar diye gaye.

Hazrat Nuh Alaihissalam ki kishti Koh-e-Judi (Mount Judi) par thehri. Hazrat Nuh Alaihissalam ne apne Parvardigar se arz kiya ki:
"Ae mere Rab! Mera beta bhi mere ghar walon mein se hai, aur Aapka waada saccha hai."

To Khudavand Ta’ala ne farmaya ki: "Ae Nuh! Tera beta tere ghar walon mein se nahin tha, kyunki uske amal achhe nahin the. Main tujh ko nasihat karta hoon ki aisi baat na kar jo tere ilm mein nahin."

Hazrat Nuh Alaihissalam ne Allah Paak se tauba ki aur apne kehne ki mu'afi chaahi. Allah Paak ne unko mu'aaf kar diya aur hukm diya ki:
"Ae Nuh! Hamari taraf se salamati aur barkaton ke saath utar!"

Iske baad Hazrat Nuh Alaihissalam ki ummat se duniya basi aur aahista-aahista unke baal-bachche aabad hote gaye. Yah sab log Khuda Ta’ala ki ita’at (obediance) karte rahe, zamana guzarta gaya. Aur aahista-aahista Shaitan ne fir behkana shuru kiya to yah log Khudavand Ta’ala ko bhoolne lage.

Sabaq (Lesson)

Bachchon! Hazrat Nuh Alaihissalam jo Allah Ta’ala ke itne bade paighambar the, apne bete ko uske bure kaamon ki wajah se Allah Ta’ala ke azaab se na bacha sake.

Is tarah agar hamare maa-baap Allah ke kitne hi Wali (nek) kyon na hon, agar hamare amal achhe na hon to wah hum ko Allah Ta’ala ke azaab se na bacha sakenge. Hum ko apne buzurgon ke nek amal ka sahara nahin lena chahiye, balki Allah Ta’ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke bataye hue kaamon par amal karke nek banna chahiye.

Isi wajah se Allah Ta’ala ne Quran Majeed mein kaha hai ki: "Agar tum ek zarra barabar bhi neki karoge to uska badla hum tum ko denge, aur agar ek zarra barabar bhi bura amal karoge to wah bhi tumhare saamne aa jayega."

Sawal Jawab (FAQ)

Sawal: Hazrat Nuh (A.S) ki qaum kis cheez ki pooja karti thi?

Jawab: Hazrat Nuh (A.S) ki qaum mitti aur patthar ke banaye hue buton (idols) ki pooja karti thi.

Sawal: Hazrat Nuh (A.S) ne apni qaum mein kitne saal tableegh ki?

Jawab: Quran ke mutabiq, Hazrat Nuh (A.S) ne 950 saal tak apni qaum ko Allah ki taraf bulaya.

Sawal: Hazrat Nuh (A.S) ka beta kyun doob gaya?

Jawab: Kyunki wo kafiron ke saath tha aur usne Allah par imaan lane aur kishti mein baithne se inkaar kar diya tha.

Sawal: Toofan ke baad kishti kahan ruki thi?

Jawab: Toofan khatam hone ke baad kishti "Judi Pahad" (Mount Judi) par jakar ruki thi.