Bachon! Hazrat Adam (Alaihissalam) sabse pehle insaan hai jinko Allah Ta’ala ne duniya mein bheja, aur sabse pehle Nabi aap hain. Aap hi ki aulad saari duniya mein faili. Aapka zikr Quran Paak mein unnees (19) baar aaya hai.

Duniya Ki Takhleeq

Jab Allah Ta’ala ne duniya ko aabad karne ka irada kiya to Usne farishton se apna irada zahir kiya.

Allah Ta'ala ne farmaya: "Main duniya mein apna ek Naib, Khalifa banana chahta hoon."

Farishton ne arz kiya: "Aye Allah! Tu duniya mein aise shakhs ko Naib banana chahta hai jo kharabiyan kare aur khoon karta fire? Hum Teri tareef karne ke saath Teri tasbeeh aur paaki bayan karte rehte hain."

Allah Ta'ala ne jawab diya: "Main wah baatein jaanta hoon jo tum nahi jaante."

Iske baad Allah Ta’ala ne Hazrat Adam (A.S) ko sab cheezon ke naam sikha diye, fir unko farishton ke saamne pesh kiya aur farmaya: "Agar tum sacche ho to mujhe inke naam batao." Farishton ne apni aajizi zahir karte hue kaha: "Tu paak hai, jitna ilm tune hum ko baksha hai iske siva hum ko kuch nahi maloom."

Shaitan Ka Guroor

Fir Allah Ta’ala ne farishton ko hukm diya ki tum Adam (A.S) ko sajda karo. Wah sab sajde mein gir pade, magar Shaitan ne sajda nahi kiya.

Shaitan pehle hi Hazrat Adam (A.S) se hasad rakhta tha. Usne kasam khai thi ki main Hazrat Adam aur unki aulad ko Qayamat tak behkata rahunga, taaki wo Allah Ta’ala ka kehna na maane aur duniya mein buraiyan failaye.

Jannat Ka Imtihan

Allah Ta’ala ne Hazrat Adam (A.S) se farmaya: "Tum aur tumhari biwi Jannat mein raho, aur jahan se chaho khao piyo." Magar ek khaas darakht (tree) ke mutalliq mana kar diya ki uske kareeb bhi na jana, warna tum bhi zalimon mein se ho jaoge.

Yeh Hazrat Adam (A.S) ka imtihan tha. Shaitan barabar unhe behkata raha ki us darakht ka fal khao, usse tum farishta ban jaoge aur Jannat se kabhi nahi nikloge. Aakhirkar, bhool se Hazrat Adam (A.S) aur Hazrat Hawwa (A.S) ne wo fal kha liya.

Tauba Aur Maafi

Allah Ta’ala ne unhe Jannat se zameen par utaar diya. Hazrat Adam (A.S) ko apni galti ka bahut ranj hua aur woh Allah se maafi maangte rahe. Tab Allah Ta’ala ne unhe ek Dua sikhai:

"Ae hamare Rab! Humne apne upar zulm kiya, aur agar Tu hum par raham nahin karega to hum bada nuqsan uthane walon mein se ho jayenge."

Allah to bada raham karne wala hai. Usne unki tauba qubool ki aur farmaya ki tum duniya mein raho. Jab meri taraf se koi Nabi aaye to unki pairwi karna, jo log Nabiyon ki baat manenge unhe na koi khauf hoga aur na gham.

Is tarah Hazrat Adam (A.S) duniya mein rehne lage aur Allah ki ibadat karne lage. Aakhirkar Hazrat Adam (A.S) nau sau (900) saal zinda reh kar wafat pa gaye.