Bachchon! Quran Majeed mein Hazrat Adam Alaihissalam ke do beton Qabil va Habil ka qissa hai aur hum tum ko sunate hain ki Hazrat Adam aur Hawwa Alaihimussalam se bahut aulad hui, inhi mein se do bachche Qabil va Habil the.

Qabil bada ladka tha, lekin yah maa-baap ka kehna nahi maanta tha, Habil chhota bhai tha jo maa-baap ka kehna maanta tha. Aqleema ek ladki thi jisse Qabil shadi karna chahta tha, magar Hazrat Adam va Hawwa Alaihimussalam uski shadi apne chhote bete Habil se karna chahte the, jo nek aur shareef tha.

Qurbani Ka Imtihan

Isliye Qabil apne maa-baap aur bhai ka dushman ho gaya, Allah Ta’ala ne hukm diya ki tum dono qurbani karke pahad par rakh aao, jiski qurbani qubool hogi usse Aqleema ki shadi ki jayegi. Allah Ta’ala ko apne nek bande pasand hote hain aur Wah unki madad karta hai, aasman se ek aag aayi aur Habil ki qurbani ko le gayi. Yaani Habil ki qurbani qubool ho gayi.

Ab uske bhai Qabil ko bahut gussa aaya, usne Habil se kaha:

Qabil ne kaha: "Main tujhe qatl kar doonga."

Habil ne kaha:

Habil ka Jawab: "Allah nek bandon ki qurbani qubool karta hai agar tum mujh se ladoge to main tum par haath nahi uthaunga."

Aakhir ek din Qabil ne Habil ko qatl kar diya. Duniya mein yah pehla qatl tha jo Qabil ne apne bhai Habil ka kiya.

Kauwa (Crow) Aur Dafan

Qatl karne ke baad Qabil ko fikr hui ki Habil ki laash ka kya kare kis tarah chhupaye, usne dekha ki ek kauwa chonch se zameen khod kar ek doosre mare hue kauwe ko dafn kar raha hai, tab usne bhi apne bhai Habil ko zameen khod kar dafn kar diya aur khud jakar aag ki pooja karne laga, Hazrat Adam va Hawwa Alaihimussalam ko bahut ranj hua.

Sabaq (Lesson)

Bachchon! Qabil va Habil dono bhaiyon ke jhagde se hum ko sabaq lena chahiye, hamara haqeeqi bhai ya Musalman bhai agar hum par zyadati kare to behtar yah hai ki hum sabr karein, aur apne bhai par haath na uthayein.

Qabil ne apne bhai ko qatl kiya, Qayamat tak log us par lanat karte rahenge aur Aakhirat mein Allah ke azab ka mustahiq hua, aur Habil ko Qayamat tak log achha kehte rahenge. Aur wah Jannat ka waris hua.

Sawal Jawab (FAQ)

Sawal: Duniya ka sabse pehla qatl kisne kiya?

Jawab: Hazrat Adam (A.S) ke bete Qabil ne apne bhai Habil ka sabse pehla qatl kiya.

Sawal: Qabil ne Habil ko kyun mara?

Jawab: Qabil ko hasad (jalan) tha kyunki Allah ne Habil ki qurbani qubool ki thi aur Qabil ki qurbani qubool nahi ki thi.

Sawal: Qabil ko laash dafana kisne sikhaya?

Jawab: Allah ne ek kauwa (crow) bheja jisne zameen khod kar dusre kauwe ko dafan kiya, use dekh kar Qabil ne Habil ko dafan kiya.