Bachchon! Quran Paak mein aapka zikr baar-baar aaya hai, Surah An'am, Surah Yunus, Surah Saffat aur Surah Anbiya mein aapka zikr-e-mubarak milta hai.
Nineveh Basti aur Qaum ka Inkaar
Mulk-e-Iraq ke shahar Nineveh mein paida hue the, jis shahar ki taraf aapko Nabi bana kar bheja gaya tha uski aabadi ek lakh ya isse kuch ziyada thi aap bhi logon ko but-parasti se mana farmate the aur ek Allah ki ibadat ki taleem dete rahe, buraiyon se mana karte aur acchaiyon ki hidayat karte, is baat se aapki qaum aapki dushman ho gayi, aakhir qaum ki baar-baar mukhalifat se tang aakar aapne farmaya ki ab Allah ka azaab tum par aakar rahega, aur yah kehkar dariya ki taraf chale gaye, ek kishti jane ke liye taiyar thi is par sawar hokar rawana ho gaye.
Kishti ka Safar aur Machli ka Pet
Jab kishti beech dariya mein pahunchi to ruk gayi, mallah ne kaha is kishti mein koi gulam hai jo apne malik se bhaag kar aaya hai, jab tak wah nahin utrega, kishti nahin chalegi, qur'a dala gaya to aapka naam nikla logon ne zabardasti aapko dariya mein phenk diya; Allah ka karna aisa hua ki ek machli der se munh khole khadi thi, usne aapko nigal liya, lekin Hazrat Yunus Alaihissalam barabar Allah ki paaki aur buzurgi bayan karte rahe, agar aap Allah ki paaki aur buzurgi bayan karne wale na hote to qiyamat tak machli ke pet mein rehte, magar Allah Ta'ala behad meharban aur rahmat wale hain, wah har tauba karne wale ki tauba qubool karte hain, aur har panah chahne wale ko panah bakhshta hain.
Machli Ke Pet Mein Dua
Hazrat Yunus Alaihissalam bagair Allah ki marzi ke bhaag aane par sharminda the, Allah ne unko mu'aaf kar diya, aajiz aakar andhere mein pukar uthe:
(Ae Allah tere siva koi ibadat ke qabil nahin tu paak hai, maine apne upar zulm kiya.)
Allah Ta'ala ne unki dua qubool ki aur gam se nijaat di, machli ke pet se nikal kar maidan mein daal diya aur is par ek beldar darakht uga diya.
Qaum ki Tauba
Hazrat Yunus Alaihissalam ki apni qaum se rawana hone ke baad Allah Ta'ala ne un par ek bada sakht azaab bheja, lekin qaum ne dekha ki azaab aa raha hai to wah sab jangalon mein aakar Allah se istaghfar karne aur tauba karne lage, Allah Ta'ala ne azaab door kar diya.
Hazrat Yunus Alaihissalam acche hokar dobara qaum ke paas aaye to wah unke intezar mein the, chunki unhone apni aankhon se azaab dekh liya tha isliye sabke sab Imaan le aaye, aur sadiyon tak amn w chain se rahe, is tarah Allah ka wada pura hua ki jo log Imaan layenge unko main khoob rizq doonga aur barkatein ata karunga, chunanche qaum-e-Yunus Alaihissalam se tamam azaab aur takleef door ho gayi jo Hazrat Yunus ki baddua aur narazgi ki wajah se un par musallat ho gayi thi.
Hazrat Yunus Alaihissalam ne machli ke pet mein jo dua ki yani La ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz-zalimin, ab jab koi musibat ya aafat nazil hoti hai to isko padha jata hai Allah Paak iski barkat se aafaat ko door kar deta hai.
Sawal Jawab (FAQ)
Jawab: Aapko Mulk-e-Iraq ke shahar "Nineveh" mein bheja gaya tha jahan ki aabadi 1 lakh se zyada thi.
Jawab: Unhone "Ayat-e-Kareema" padhi: La ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz-zalimin.
Jawab: Azaab aane wala tha, lekin unhone waqt rehte sacchi tauba kar li isliye Allah ne azaab taal diya.