Qaza Ka Hisaab Lagaiye
Qaza Ada Karne Ki Progress:
0%
Kul Namazein: 0 | Ada Ho Chuki: 0
0
Baaqi Namazein
0
Baaqi Namazein
0
Baaqi Namazein
0
Baaqi Namazein
0
Baaqi Namazein
0
Baaqi Namazein
Yeh Tool Kaise Istemal Karein?
-
1
Qaza Calculate Karein: Apni maujooda umar, baligh hone ki umar aur jitne saal namaz padhi wo darj karke Calculate & Start Tracking dabayein.
-
2
Namaz Ada Karke (-1) Karein: Jab bhi koi qaza namaz ada karein, us namaz ke card par "Ada Ki (-1)" dabayein taaki count kam ho sake.
-
3
Poore 1 Din Ki Qaza (-1 All): Agar ek sath poore din ki 6 namazein padhi hon, toh ek click mein kam karne ke liye "Poore 1 Din Ki Qaza" button dabayein.
-
4
Auto-Save Record: Aapka record aapke phone/browser mein hamesha save rahega, page refresh ya mobile band hone par bhi delete nahi hoga.
Qaza Namaz Ki Sharia Ahmiyat
Namaz Islam ka sabse ahem satoon hai. Agar kisi shakhs ki namazein susti ya ghaflat ki wajah se chhoot gayi hon, toh sirf tauba kafi nahi balki un namazon ki qaza ada karna sharian farz hai. Qayamat ke din sabse pehla hisaab namaz hi ka hoga.
Farman-e-Mustafa ﷺ:
«Jo shakhs kisi namaz se so jaye ya use bhool jaye, toh uska kaffarah yahi hai ke jab use yaad aaye wo use ada kar le.»
— Sahih al-Bukhari 597
Qaza Ada Karne Ka Aasan Tareeqa
Faqeeh-e-Millat aur Fuqaha-e-Kiram ne Qaza-e-Umri ada karne ka sabse ahem aur aasan tareeqa yeh bayan farmaya hai:
- Har Farz Ke Sath Ek Qaza: Har waqt ki farz namaz ke sath usi waqt ki ek qaza namaz ada karein (jaise Fajr ke sath ek qaza Fajr, Zohr ke sath ek qaza Zohr).
- Sirf Farz Aur Witr: Qaza namaz mein sunnatein nahi padhi jateen, rozana kul 20 Rakaat (2 Fajr, 4 Zohr, 4 Asr, 3 Maghrib, 4 Isha aur 3 Witr) ada ki jati hain.
- Teeno Makrooh Auqat Se Bachein: Tulu-e-Aftab (Sunrise), Zawal (Noon), aur Ghuroob-e-Aftab (Sunset) ke dauran koi bhi qaza namaz na padhein.
Qaza Namaz Ki Niyat Ka Tareeqa
Aasan Niyat:
«Niyat karta hoon main 2 rakat namaz-e-Fajr ki qaza, jo mujh par baaqi hai sabse pehli ya sabse aakhri, waste Allah Ta'ala ke, rukh mera Ka'bah Sharif ki taraf.»
— Fatawa Alamgiri / Bahar-e-Shariat