Aaj Ki Islami Tareekh
Tareekh Load Ho Rahi Hai...
--
--
--
Sun
Mon
Tue
Wed
Thu
Fri
Sat
Ahem Ayaam o Wisal
Hijri Calendar Ki Ahmiyat
Islami Calendar Qamari (Lunar) Nizam par mabni hai jisme maheene ka aaghaz chand ke dekhne se hota hai. Ameer-ul-Momineen Hazrat Umar Farooq رضي الله عنه ne apne daur-e-khilafat mein Sahaba-e-Kiram ke mashware se Rasoolullah ﷺ ki Makkah se Madinah Hijrat ke azeem waqiye ko Islami calendar ka aaghaz muqarrar farmaya.
Quran-e-Majeed Mein Farman-e-Ilahi:
«Beshak maheenon ki ginti Allah ke nazdeek Allah ki kitaab mein barah (12) maheene hai, usi din se jab usne aasmaano aur zameen ko paida kiya. Unme se chaar (4) maheene hurmat (adab) wale hain.»
— Surah At-Tawbah (9:36)
Chaar Hurmat Wale Maheene
- 1. Zil-Qadah: 11wan Islami maheena.
- 2. Zil-Hajjah: 12wan maheena jisme Hajj-e-Baitullah ada hota hai aur Qurbani ki jati hai.
- 3. Muharram-ul-Haram: Islami saal ka pehla maheena jiski 10 tareekh (Ashura) ko azeem fazeelat hasil hai.
- 4. Rajab-ul-Murajjab: 7wan maheena jisme Shab-e-Miraj-un-Nabi ﷺ ka muqaddas waqia pesh aaya.
Sahaba o Ahle Bait Ka Maqaam
Farman-e-Rasool ﷺ:
«Mere Sahaba sitaron ki manind hain, tum unme se jiski bhi pairwi karoge hidayat pa jaoge.»
— Mishkat al-Masabih 6018