Cheenk Ka Jawab Ki Dua | Reply to Sneezing (Yarhamukallah)

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
يَرْحَمُكَ اللَّهُ
"Yarhamukallah"
Hinglish Tarjuma:

"Allah tum par raham farmaye."

Hadees Shareef

Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Musalman ke musalman par 6 haq hain... (unme se ek ye hai ki) jab usko chheenk aaye aur wo 'Alhamdulillah' kahe, to tum uske jawab mein 'Yarhamukallah' kaho."

— Sahih Bukhari: 6224 | Sahih Muslim
Jawab Dene Ke Zaroori Masail
Musalman Ka Haq

Ek musalman bhai jab Alhamdulillah kahe to dusre ke liye zaroori (Wajib) ho jata hai ki wo uske haq ko ada kare aur usko Yarhamukallah kahe.

Alhamdulillah Sunna Shart Hai

Agar chheenkne wala shakhs 'Alhamdulillah' na kahe, to jawab mein 'Yarhamukallah' kehna zaroori nahi hai. Jawab tabhi dena hai jab aap shukr ke alfaaz sunein.

Aurat aur Mard ke liye Alfaaz

Agar mard chheenke to usko Yarhamuk-Allah (ك - ka) kahenge. Aur agar koi aurat chheenke to usko Yarhamuk-i-llah (كِ - ki) kehna behtar hai, halanki dono durust hain.

Next Post Previous Post